apne haalat ki taswir dikhaen kaise
apne hālāt kī tasvīr dikhā.eñ kaise
rūThne vaale batā tujh ko manā.eñ kaise
zinda lāshoñ ko uThā.e hue haiñ kāñdhoñ par
zindagī bojh tirā roz uThā.eñ kaise
jis ko ḳhud apnā patā hai na zamāne kī ḳhabar
aise insān ko sote se jagā.eñ kaise
sochte sochte ik umr-e-tamanna guzrī
tanz ke tiir se ham ḳhud ko bachā.eñ kaise
manzil-e-ġham hai shab-e-hijr kā sannāTā hai
apnī duniyā-e-tasavvur ko sajā.eñ kaise
ye tasanño ye banāvaT ye havas makr-o-fareb
bazm-e-ahbāb se ham 'josh' miTā.eñ kaise
apne haalat ki taswir dikhaen kaise
ruThne wale bata tujh ko manaen kaise
zinda lashon ko uThae hue hain kandhon par
zindagi bojh tera roz uThaen kaise
jis ko KHud apna pata hai na zamane ki KHabar
aise insan ko sote se jagaen kaise
sochte sochte ek umr-e-tamanna guzri
tanz ke tir se hum KHud ko bachaen kaise
manzil-e-gham hai shab-e-hijr ka sannaTa hai
apni duniya-e-tasawwur ko sajaen kaise
ye tasanno ye banawaT ye hawas makr-o-fareb
bazm-e-ahbab se hum 'josh' miTaen kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.