apne hathon ki lakiren na miTa rahne de
apne hāthoñ kī lakīreñ na miTā rahne de
jo likhā hai vahī qismat meñ likhā rahne de
sach agar pūchh to zinda huuñ unhīñ kī ḳhātir
tishnagī mujh ko sarāboñ meñ ghirā rahne de
aah ai ishrat-e-rafta nikal aa.e aañsū
maiñ na kahtā thā ki itnā na hañsā rahne de
us ko dhuñdlā na sakegā kabhī lamhoñ kā ġhubār
merī hastī kā varaq yūñhī khulā rahne de
shart ye hai ki rahe saath vo manzil manzil
varna zahmat na kare bād-e-sabā rahne de
yuuñ bhī ehsās-e-alam shab meñ sivā hotā hai
ai shab-e-māh mirī had meñ na aa rahne de
zindagī mere liye dard kā sahrā hai 'shamīm'
mere maazī mujhe ab yaad na aa rahne de
apne hathon ki lakiren na miTa rahne de
jo likha hai wahi qismat mein likha rahne de
sach agar puchh to zinda hun unhin ki KHatir
tishnagi mujh ko sarabon mein ghira rahne de
aah ai ishrat-e-rafta nikal aae aansu
main na kahta tha ki itna na hansa rahne de
us ko dhundla na sakega kabhi lamhon ka ghubar
meri hasti ka waraq yunhi khula rahne de
shart ye hai ki rahe sath wo manzil manzil
warna zahmat na kare baad-e-saba rahne de
yun bhi ehsas-e-alam shab mein siwa hota hai
ai shab-e-mah meri had mein na aa rahne de
zindagi mere liye dard ka sahra hai 'shamim'
mere mazi mujhe ab yaad na aa rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.