apne hathon se mujhe jam pilate jaana
apne hāthoñ se mujhe jaam pilāte jaanā
saare dukh dard ko kuchh der miTāte jaanā
is zamāne ko dikhāne ke liye tum rasman
jaate jaate sahī chand aañsū bahāte jaanā
raat uTh uTh ke jo message kiyā karte the ham
company vaale samajh kar vo miTāte jaanā
kis tarah 'aadī banā kar kisī ko chhoḌte haiñ
tohmateñ chāleñ vo sab mujh ko sikhāte jaanā
apne hathon se mujhe jam pilate jaana
sare dukh dard ko kuchh der miTate jaana
is zamane ko dikhane ke liye tum rasman
jate jate sahi chand aansu bahate jaana
raat uTh uTh ke jo message kiya karte the hum
company wale samajh kar wo miTate jaana
kis tarah 'adi bana kar kisi ko chhoDte hain
tohmaten chaalen wo sab mujh ko sikhate jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.