apne hathon se saja aur mujhe sandal kar de
apne hāthoñ se sajā aur mujhe sandal kar de
dil kī bastī meñ ajab pyaar kī halchal kar de
terī yādoñ kā ye sho.ala bhī ajab hai jānāñ
dil ke shādāb gulistāñ ko bhī jañgal kar de
jazba-e-ishq agar dil meñ hai is tarah se mil
ki uḌā hosh mire aur mujhe pāgal kar de
aa jā aur aa ke khilā apnī mohabbat ke gulāb
maiñ adhūrī huuñ abhī mujh ko mukammal kar de
ham-safar tū hai agar merā to ye dhyān bhī rakh
vādī-e-ishq kī har raah ko jal-thal kar de
bevafā.ī kī sazā tujh ko de maulā aisī
mujh ko bā-hosh rakhe aur tujhe pāgal kar de
har musībat se 'sabā' hañs ke guzar jā.ūñgī
mere sar pe vo agar pyaar kā bādal kar de
apne hathon se saja aur mujhe sandal kar de
dil ki basti mein ajab pyar ki halchal kar de
teri yaadon ka ye shoala bhi ajab hai jaanan
dil ke shadab gulistan ko bhi jangal kar de
jazba-e-ishq agar dil mein hai is tarah se mil
ki uDa hosh mere aur mujhe pagal kar de
aa ja aur aa ke khila apni mohabbat ke gulab
main adhuri hun abhi mujh ko mukammal kar de
ham-safar tu hai agar mera to ye dhyan bhi rakh
wadi-e-ishq ki har rah ko jal-thal kar de
bewafai ki saza tujh ko de maula aisi
mujh ko ba-hosh rakhe aur tujhe pagal kar de
har musibat se 'saba' hans ke guzar jaungi
mere sar pe wo agar pyar ka baadal kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.