apne hi bab mein nuqsan bahut karte hain
apne hī baab meñ nuqsān bahut karte haiñ
mezbānī mire mehmān bahut karte haiñ
ashk zaḳhmāte haiñ kirchī kī tarah āñkhoñ ko
ham tirī yaad meñ nuqsān bahut karte haiñ
niiñd meñ un ke sabhī raaz ko ifshā kar ke
jāgne vāloñ ko hairān bahut karte haiñ
lauT kar aate nahīñ vo kabhī aañsū kī tarah
lauT aane ke jo paimān bahut karte haiñ
roz milte haiñ usī se jo muqaddar meñ nahīñ
ham muqaddar ko pareshān bahut karte haiñ
apne hi bab mein nuqsan bahut karte hain
mezbani mere mehman bahut karte hain
ashk zaKHmate hain kirchi ki tarah aankhon ko
hum teri yaad mein nuqsan bahut karte hain
nind mein un ke sabhi raaz ko ifsha kar ke
jagne walon ko hairan bahut karte hain
lauT kar aate nahin wo kabhi aansu ki tarah
lauT aane ke jo paiman bahut karte hain
roz milte hain usi se jo muqaddar mein nahin
hum muqaddar ko pareshan bahut karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.