apne hi bhai ko ham-saya banate kyun ho
apne hī bhaa.ī ko ham-sāya banāte kyuuñ ho
sahn ke beach meñ dīvār lagāte kyuuñ ho
ik na ik din to unheñ TuuT bikharnā hogā
ḳhvāb phir ḳhvāb haiñ ḳhvāboñ ko sajāte kyuuñ ho
kaun suntā hai yahāñ kaun hai sunñe vaalā
ye samajhte ho to āvāz uThāte kyuuñ ho
ḳhud ko bhūle hue guzre haiñ zamāne yaaro
ab mujhe tum mirā ehsās dilāte kyuuñ ho
apne chehroñ pe jo ḳhud aap hī patthar pheñkeñ
aise logoñ ko tum ā.īna dikhāte kyuuñ ho
apnī taqdīr hai tūfānoñ se laḌte rahnā
ahl-e-sāhil kī taraf haath baḌhāte kyuuñ ho
aaj ke daur kā mausam hai ġhubār-ālūda
aa.ine par koī tahrīr bichhāte kyuuñ ho
kuchh dalā.el koī ma.anī nahīñ rakhte 'āzar'
kahne vaale kī har ik baat pe jaate kyuuñ ho
apne hi bhai ko ham-saya banate kyun ho
sahn ke beach mein diwar lagate kyun ho
ek na ek din to unhen TuT bikharna hoga
KHwab phir KHwab hain KHwabon ko sajate kyun ho
kaun sunta hai yahan kaun hai sunne wala
ye samajhte ho to aawaz uThate kyun ho
KHud ko bhule hue guzre hain zamane yaro
ab mujhe tum mera ehsas dilate kyun ho
apne chehron pe jo KHud aap hi patthar phenken
aise logon ko tum aaina dikhate kyun ho
apni taqdir hai tufanon se laDte rahna
ahl-e-sahil ki taraf hath baDhate kyun ho
aaj ke daur ka mausam hai ghubar-aluda
aaine par koi tahrir bichhate kyun ho
kuchh dalael koi mani nahin rakhte 'azar'
kahne wale ki har ek baat pe jate kyun ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.