apne hi dil ki baat se mahka gaya hun main
apne hī dil kī baat se mahkā gayā huuñ maiñ
apne hī rūh-o-jism meñ ghultā gayā huuñ maiñ
aisī hī kuchh kashish hai jo huuñ farsh-e-ḳhāk par
varna bulandiyoñ se bhī ūñchā gayā huuñ maiñ
ai 'ishq rāh-e-dost hai dushvār-tar bahut
yā'nī nigāh-e-nāz meñ aayā gayā huuñ maiñ
har chehra aa.ina hai nigāhoñ ke sāmne
har aa.ine ke qalb meñ dekhā gayā huuñ maiñ
maqsad har ik nigāh kā merī nazar meñ thā
kyā kyā fareb-e-dost haiñ batlā gayā huuñ maiñ
phir koī baat merī sabā le ke uḌ ga.ī
ḳhushbū kī tarh phūloñ se uḌtā gayā huuñ maiñ
yā to tire shabāb ko pahuñchī nahīñ nazar
yā vus'at-e-ḳhayāl se ghabrā gayā huuñ maiñ
har ibtidā.ī marhala pesh-e-nazar bhī thā
kyā hai ma.āl-e-'ishq ye samjhā gayā huuñ maiñ
ash'ār mere tere tasavvur kā jazb haiñ
jaise tire ḳhayāl se miltā gayā huuñ maiñ
apne hi dil ki baat se mahka gaya hun main
apne hi ruh-o-jism mein ghulta gaya hun main
aisi hi kuchh kashish hai jo hun farsh-e-KHak par
warna bulandiyon se bhi uncha gaya hun main
ai 'ishq rah-e-dost hai dushwar-tar bahut
ya'ni nigah-e-naz mein aaya gaya hun main
har chehra aaina hai nigahon ke samne
har aaine ke qalb mein dekha gaya hun main
maqsad har ek nigah ka meri nazar mein tha
kya kya fareb-e-dost hain batla gaya hun main
phir koi baat meri saba le ke uD gai
KHushbu ki tarh phulon se uDta gaya hun main
ya to tere shabab ko pahunchi nahin nazar
ya wus'at-e-KHayal se ghabra gaya hun main
har ibtidai marhala pesh-e-nazar bhi tha
kya hai maal-e-'ishq ye samjha gaya hun main
ash'ar mere tere tasawwur ka jazb hain
jaise tere KHayal se milta gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.