apne hi ek KHwab se haare hue hain hum
apne hī ek ḳhvāb se haare hue haiñ ham
kaisī hasīn raat ke maare hue haiñ ham
vo ashk-bār aañkh hai lab chūmtī huī
pī kar udaas lams hī khāre hue haiñ ham
ik jang laḌ rahe haiñ bilā teġh be-sipar
dushman bhī soch meñ hai ki haare hue haiñ ham
ronā paḌegā haar ke āḳhir ḳhudā ko bhī
kab se duā ko haath pasāre hue haiñ ham
ik raushnī sī kauñdh ga.ī āsmān meñ
bujhtī huī do āñkhoñ ke taare hue haiñ ham
milnā hai terī ruuh se ham ko badan baġhair
apnā libās-e-jism utāre hue haiñ ham
apne hi ek KHwab se haare hue hain hum
kaisi hasin raat ke mare hue hain hum
wo ashk-bar aankh hai lab chumti hui
pi kar udas lams hi khaare hue hain hum
ek jang laD rahe hain bila tegh be-sipar
dushman bhi soch mein hai ki haare hue hain hum
rona paDega haar ke aaKHir KHuda ko bhi
kab se dua ko hath pasare hue hain hum
ek raushni si kaundh gai aasman mein
bujhti hui do aankhon ke tare hue hain hum
milna hai teri ruh se hum ko badan baghair
apna libas-e-jism utare hue hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.