apne hi ghar ke fard agar dushmani karen
apne hī ghar ke fard agar dushmanī kareñ
kis āsare pe ham ye basar zindagī kareñ
yaaro qadam qadam pe añdhere haiñ hukmrān
sūraj kidhar ugā.eñ kahāñ raushnī kareñ
laḌvā rahe haiñ raam ko jo bhī rahīm se
in maz.habī ḳhudāoñ se kyā dostī kareñ
ai dosto tanāv meñ jiinā harām hai
had se baḌheñ jo zulm to ham sar-kashī kareñ
ārām ke vasīle to lākhoñ jahāñ meñ haiñ
dil kā sukūn chāhiye to bandagī kareñ
kitnā aziim dars rasūl-e-ḳhudā kā hai
dushman se bhī milāp kareñ āshtī kareñ
zulmat ye vo nahīñ hai jo sūraj se duur ho
apnā hī dil jalā ke chalo raushnī kareñ
ghuT hī na jaa.e dam kahīñ dil ke ġhubār se
'anvār' zinda rahnā hai to shā.irī kareñ
apne hi ghar ke fard agar dushmani karen
kis aasare pe hum ye basar zindagi karen
yaro qadam qadam pe andhere hain hukmran
suraj kidhar ugaen kahan raushni karen
laDwa rahe hain ram ko jo bhi rahim se
in mazhabi KHudaon se kya dosti karen
ai dosto tanaw mein jina haram hai
had se baDhen jo zulm to hum sar-kashi karen
aaram ke wasile to lakhon jahan mein hain
dil ka sukun chahiye to bandagi karen
kitna azim dars rasul-e-KHuda ka hai
dushman se bhi milap karen aashti karen
zulmat ye wo nahin hai jo suraj se dur ho
apna hi dil jala ke chalo raushni karen
ghuT hi na jae dam kahin dil ke ghubar se
'anwar' zinda rahna hai to shairi karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.