apne hi kisi sae se Takraya hun phir bhi
apne hī kisī saa.e se Takrāyā huuñ phir bhī
mahsūs ye hotā hai yahāñ aaya huuñ phir bhī
kāġhaz pe siyāhī kī tarah phail rahā huuñ
ye harf-e-nadāmat nahīñ sharmāyā huuñ phir bhī
har-chand safar dard ke dariyā kā safar thā
sāhil ke kisī ḳhvāb se ghabrāyā huuñ phir bhī
sāġhar meñ sar-e-shām lahū merā milā hai
ik nashsha-e-be-nām meñ lahrāyā huuñ phir bhī
har-chand kisī jītne vaale ne sadā dī
haare hue logoñ meñ chalā aaya huuñ phir bhī
milte hī rahe zaḳhm mirī kisht-e-badan ko
ehsās ke har phuul kā sarmāya huuñ phir bhī
sūraj ke muqābil thā 'zafar' dasht-e-sahar meñ
maiñ pyaas ke sahrā meñ koī saayā huuñ phir bhī
apne hi kisi sae se Takraya hun phir bhi
mahsus ye hota hai yahan aaya hun phir bhi
kaghaz pe siyahi ki tarah phail raha hun
ye harf-e-nadamat nahin sharmaya hun phir bhi
har-chand safar dard ke dariya ka safar tha
sahil ke kisi KHwab se ghabraya hun phir bhi
saghar mein sar-e-sham lahu mera mila hai
ek nashsha-e-be-nam mein lahraya hun phir bhi
har-chand kisi jitne wale ne sada di
haare hue logon mein chala aaya hun phir bhi
milte hi rahe zaKHm meri kisht-e-badan ko
ehsas ke har phul ka sarmaya hun phir bhi
suraj ke muqabil tha 'zafar' dasht-e-sahar mein
main pyas ke sahra mein koi saya hun phir bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.