apne hi lahu se kahin mismar na hona
apne hī lahū se kahīñ mismār na honā
duniyā kī mohabbat meñ giraftār na honā
gumnām hī rahne meñ baḌā naam hai pyāre
shohrat ke liye dāḳhil-e-darbār na honā
ai mere ḳhudā qaid huuñ maiñ kaise jahāñ meñ
goyā.ī to honā dam-e-guftār na honā
bāzār ho gar misr kā bolī to lagānā
yūsuf ko jo chāho to ḳharīdār na honā
auroñ se gila kyā ho ki le Duubā hameñ to
andar ke javāñ-mard kā iz.hār na honā
apne hi lahu se kahin mismar na hona
duniya ki mohabbat mein giraftar na hona
gumnam hi rahne mein baDa nam hai pyare
shohrat ke liye daKHil-e-darbar na hona
ai mere KHuda qaid hun main kaise jahan mein
goyai to hona dam-e-guftar na hona
bazar ho gar misr ka boli to lagana
yusuf ko jo chaho to KHaridar na hona
auron se gila kya ho ki le Duba hamein to
andar ke jawan-mard ka izhaar na hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.