apne hone ke jo aasar banane hain mujhe
apne hone ke jo āsār banāne haiñ mujhe
jaane kitne dar-o-dīvār banāne haiñ mujhe
ḳhud ko rakhnā bhī nahīñ jins-e-girāñ kī sūrat
bikne vāloñ ke bhī me.aar banāne haiñ mujhe
tere qadmoñ meñ bichhāne haiñ zamīnī raste
aur apne liye kohsār banāne haiñ mujhe
apne jaisā koī dushman bhī zarūrī hai bahut
tere jaise bhī ka.ī yaar banāne haiñ mujhe
silsila TuuT na jaa.e mirī vahshat kā kahīñ
naqsh qadmoñ ke lagātār banāne haiñ mujhe
tū kabhī dhuup meñ nikle bhī to chhāñv meñ rahe
rāste aur bhī chhitnār banāne haiñ mujhe
maiñ rahūñ yā na rahūñ terī kahānī to rahe
apne jaise ka.ī kirdār banāne haiñ mujhe
apne hone ke jo aasar banane hain mujhe
jaane kitne dar-o-diwar banane hain mujhe
KHud ko rakhna bhi nahin jins-e-giran ki surat
bikne walon ke bhi mear banane hain mujhe
tere qadmon mein bichhane hain zamini raste
aur apne liye kohsar banane hain mujhe
apne jaisa koi dushman bhi zaruri hai bahut
tere jaise bhi kai yar banane hain mujhe
silsila TuT na jae meri wahshat ka kahin
naqsh qadmon ke lagatar banane hain mujhe
tu kabhi dhup mein nikle bhi to chhanw mein rahe
raste aur bhi chhitnar banane hain mujhe
main rahun ya na rahun teri kahani to rahe
apne jaise kai kirdar banane hain mujhe
- Book : Gumname aadmi ka bayan (Pg. 27)
- Author : Fazil Jamili
- Publication : Bazm-e-ifkar Publications (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.