apne honTon pe na shikwe na gile hain sahab
apne honTon pe na shikwe na gile hain sahab
Jaleel Arshad Khan Rashid
MORE BYJaleel Arshad Khan Rashid
apne hoñToñ pe na shikve na gile haiñ sāhab
rah ga.e ġham so muqaddar se mile haiñ sāhab
pas-e-zindāñ sar-e-maqtal bhī sar-e-dār bhī ham
kyā yahī apnī vafāoñ ke sile haiñ sāhab
mai-kashī ko na sahī va.az ko aa.e hoñge
mai-kade meñ bhī hameñ shaiḳh mile haiñ sāhab
ek arsa huā yuuñ tark-e-ta.alluq ko magar
un kī yādoñ ke kañval ab bhī khile haiñ sāhab
tab bhī bardāsht kiyā ab bhī sitam kar dekheñ
hoñT apne the sile ab bhī sile haiñ sāhab
ye mirī izzat-o-shohrat ye taraqqī ye uruuj
ye mirī maañ kī duāoñ ke sile haiñ sāhab
'rāshid'-e-ḳhasta se lagtī hai shanāsā.ī bahut
aap kyā pahle kabhī us se mile haiñ sāhab
apne honTon pe na shikwe na gile hain sahab
rah gae gham so muqaddar se mile hain sahab
pas-e-zindan sar-e-maqtal bhi sar-e-dar bhi hum
kya yahi apni wafaon ke sile hain sahab
mai-kashi ko na sahi waz ko aae honge
mai-kade mein bhi hamein shaiKH mile hain sahab
ek arsa hua yun tark-e-talluq ko magar
un ki yaadon ke kanwal ab bhi khile hain sahab
tab bhi bardasht kiya ab bhi sitam kar dekhen
honT apne the sile ab bhi sile hain sahab
ye meri izzat-o-shohrat ye taraqqi ye uruj
ye meri man ki duaon ke sile hain sahab
'rashid'-e-KHasta se lagti hai shanasai bahut
aap kya pahle kabhi us se mile hain sahab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.