apne honTon se aazma ke to dekh
apne hoñToñ se aazmā ke to dekh
mere ash.ār gungunā ke to dekh
dhaḌkanoñ kī zabān urdu hai
mere dil meñ kabhī samā ke to dekh
lutf kyā aatā hai sambhalne meñ
mere sañg tū bhī laḌkhaḌā ke to dekh
kyuuñ tirā aks ban gayā huuñ maiñ
rū-ba-rū aa.ine ke aa ke to dekh
kar ke dariyā ko paar merī tarah
tū bhī kashtī kabhī jalā ke to dekh
shahr se duur chal ke gaañv meñ
ek chhoTā sā ghar basā ke to dekh
apne honTon se aazma ke to dekh
mere ashaar gunguna ke to dekh
dhaDkanon ki zaban urdu hai
mere dil mein kabhi sama ke to dekh
lutf kya aata hai sambhalne mein
mere sang tu bhi laDkhaDa ke to dekh
kyun tera aks ban gaya hun main
ru-ba-ru aaine ke aa ke to dekh
kar ke dariya ko par meri tarah
tu bhi kashti kabhi jala ke to dekh
shahr se dur chal ke ganw mein
ek chhoTa sa ghar basa ke to dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.