apne is daur mein hai ranj ka saman bahut
apne is daur mein hai ranj ka saman bahut
Zakir Husain Husaini Zakir
MORE BYZakir Husain Husaini Zakir
apne is daur meñ hai ranj kā sāmān bahut
aaj insāñ hai masā.il se pareshān bahut
hijr meñ yās-o-alam ne kahāñ tanhā chhoḌā
bin bulā.e mire ghar aa ga.e mehmān bahut
ham to āġhāz se hī ishq meñ barbād rahe
nafā ke badle kiyā ham ne to nuqsān bahut
ishq kī jang meñ āsān nahīñ fat.h-e-mubīñ
kaam aa.e isī maidān meñ insān bahut
dost vo bante haiñ jo dil meñ samā jaate haiñ
safar-e-zīst meñ Takrāte haiñ insān bahut
bhiiḌ duniyā meñ hai ab kizb-o-riyā vāloñ kī
āj-kal milte nahīñ sāhib-e-īmān bahut
umr bhar hotī rahīñ hasrateñ puurī 'zākir'
phir bhī hasrat hai ki nikle nahīñ armān bahut
apne is daur mein hai ranj ka saman bahut
aaj insan hai masail se pareshan bahut
hijr mein yas-o-alam ne kahan tanha chhoDa
bin bulae mere ghar aa gae mehman bahut
hum to aaghaz se hi ishq mein barbaad rahe
nafa ke badle kiya hum ne to nuqsan bahut
ishq ki jang mein aasan nahin fath-e-mubin
kaam aae isi maidan mein insan bahut
dost wo bante hain jo dil mein sama jate hain
safar-e-zist mein Takraate hain insan bahut
bhiD duniya mein hai ab kizb-o-riya walon ki
aaj-kal milte nahin sahib-e-iman bahut
umr bhar hoti rahin hasraten puri 'zakir'
phir bhi hasrat hai ki nikle nahin arman bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.