apne jaisa bhi koi usko nazar aaega
apne jaisā bhī koī us ko nazar aa.egā
chāñd us raat meñ dhartī pe utar aa.egā
apne lahja ko zarā saḳht banā kar dekho
kuchh dinoñ ba.ad tumheñ farq nazar aa.egā
saath meñ rah ke saperoñ ke guzāreñ kuchh din
saañp ke phan ko kuchalne kā hunar aa.egā
muskurātā hai to phir saath rahā kar mere
kuchh na kuchh to mirī sohbat kā asar aa.egā
apnī aulād ke jazbāt samajh le varna
terā beTā na kabhī lauT ke ghar aa.egā
jis ko sar kar ke masarrat hī milegī 'dānish'
marhala aisā bhī daurān-e-safar āye.gā
apne jaisa bhi koi us ko nazar aaega
chand us raat mein dharti pe utar aaega
apne lahja ko zara saKHt bana kar dekho
kuchh dinon baad tumhein farq nazar aaega
sath mein rah ke saperon ke guzaren kuchh din
sanp ke phan ko kuchalne ka hunar aaega
muskuraata hai to phir sath raha kar mere
kuchh na kuchh to meri sohbat ka asar aaega
apni aulad ke jazbaat samajh le warna
tera beTa na kabhi lauT ke ghar aaega
jis ko sar kar ke masarrat hi milegi 'danish'
marhala aisa bhi dauran-e-safar aayega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.