apne jaise diwanon ki thoDi to imdad karun
apne jaise dīvānoñ kī thoḌī to imdād karūñ
sos rahā huuñ hushyārī se pāgal-pan ījād karūñ
zarb lagā kar aisā chīḳhūñ sannāTe bhī Dar jaa.eñ
lekin pahle āvāzeñ to pinjre se āzād karūñ
patthar khāne se achchhā hai patthar ko hī toḌā jaa.e
ishq ijāzat de to ḳhud ko majnūñ se farhād karūñ
tū bādal meñ paanī bhar ke rakh de tapte sahrā meñ
aur maiñ dhuup ko saaya karke bārish ke din yaad karūñ
pahle to maiñ ġham ke saare dastāvez jalā.ūñgā
ba.ad meñ sochūñgā maiñ un par ro.uuñ yā fariyād karūñ
bādal kitnā pāgal hai jo mere hijr pe rotā hai
nā maiñ bādal nā maiñ pāgal kyoñ āñkheñ barbād karūñ
apne jaise diwanon ki thoDi to imdad karun
sos raha hun hushyari se pagal-pan ijad karun
zarb laga kar aisa chiKHun sannaTe bhi Dar jaen
lekin pahle aawazen to pinjre se aazad karun
patthar khane se achchha hai patthar ko hi toDa jae
ishq ijazat de to KHud ko majnun se farhad karun
tu baadal mein pani bhar ke rakh de tapte sahra mein
aur main dhup ko saya karke barish ke din yaad karun
pahle to main gham ke sare dastawez jalaunga
baad mein sochunga main un par roun ya fariyaad karun
baadal kitna pagal hai jo mere hijr pe rota hai
na main baadal na main pagal kyon aankhen barbaad karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.