apne jalwon ko yun na aam karo
apne jalvoñ ko yuuñ na aam karo
kuchh to parde kā ehtimām karo
zulmatoñ kī bisāt hī kyā hai
tum charāġhoñ kā intizām karo
ḳhush-dilī se milā karo sab se
ḳhanda-peshānī apnī aam karo
ye na bhūlo ki tum muhāfiz ho
yuuñ na insāñ kā qatl-e-ām karo
apne ajdād hoñ na sharminda
aisā vaisā na koī kaam karo
is se dil kā sukūn miltā hai
zikr allāh kā mudām karo
muflisoñ ko na dekho nafrat se
tum ġharīboñ kā ehtirām karo
yuuñ numā.ish karo na daulat kī
is burā.ī kā iḳhtitām karo
chāhte ho ki barguzīda hoñ
tum haqā.eq ko apne naam karo
mujh ko tum se baḌī mohabbat hai
mere jazbe kā ehtirām karo
aglī nasloñ ko jis se faiz mile
aisā duniyā meñ koī kaam karo
ye na.e ahd kā taqāza hai
qātiloñ kā bhī ehtirām karo
tez raftār hai zamāna 'zakī'
tum zakāvat ko tez-gām karo
apne jalwon ko yun na aam karo
kuchh to parde ka ehtimam karo
zulmaton ki bisat hi kya hai
tum charaghon ka intizam karo
KHush-dili se mila karo sab se
KHanda-peshani apni aam karo
ye na bhulo ki tum muhafiz ho
yun na insan ka qatl-e-am karo
apne ajdad hon na sharminda
aisa waisa na koi kaam karo
is se dil ka sukun milta hai
zikr allah ka mudam karo
muflison ko na dekho nafrat se
tum gharibon ka ehtiram karo
yun numaish karo na daulat ki
is burai ka iKHtitam karo
chahte ho ki barguzida hon
tum haqaeq ko apne nam karo
mujh ko tum se baDi mohabbat hai
mere jazbe ka ehtiram karo
agli naslon ko jis se faiz mile
aisa duniya mein koi kaam karo
ye nae ahd ka taqaza hai
qatilon ka bhi ehtiram karo
tez raftar hai zamana 'zaki'
tum zakawat ko tez-gam karo
- Book : ضبط فغاں(شعری مجموعہ) (Pg. 96)
- Author : کوکب ذکی
- Publication : وشواس پبلی کیشنز ،حیدرآباد (2016)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.