apne jazbe nisar mat karte
apne jazbe nisār mat karte
vaqt kā e'tibār mat karte
daaġh zaḳhmoñ ke an-ginat hoñge
ābloñ kā shumār mat karte
darmiyāñ fāsloñ ke sahrā haiñ
ab mirā intizār mat karte
ajnabī des uḌ ga.e panchhī
apne bachchoñ se pyaar mat karte
nafratoñ ke qimār-ḳhāne meñ
pyaar kā kārobār mat karte
pair to pattharoñ ke aadī haiñ
tai koī sabza-zār mat karte
ik mire jurm-e-be-gunāhī kā
tazkira baar baar mat karte
zulm tārīk isti.āra hai
sāhab-e-eqtidār mat karte
'nūr' is kūcha-e-malāmat meñ
ehtirām-e-bahār mat karte
apne jazbe nisar mat karte
waqt ka e'tibar mat karte
dagh zaKHmon ke an-ginat honge
aablon ka shumar mat karte
darmiyan faslon ke sahra hain
ab mera intizar mat karte
ajnabi des uD gae panchhi
apne bachchon se pyar mat karte
nafraton ke qimar-KHane mein
pyar ka karobar mat karte
pair to pattharon ke aadi hain
tai koi sabza-zar mat karte
ek mere jurm-e-be-gunahi ka
tazkira bar bar mat karte
zulm tarik istiara hai
sahab-e-eqtidar mat karte
'nur' is kucha-e-malamat mein
ehtiram-e-bahaar mat karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.