apne ji mein jo Than lenge aap
apne jī meñ jo Thaan leñge aap
yā hamārā bayān leñge aap
justujū qā.ede kī ho varna
dar-ba-dar ḳhaak chhān leñge aap
ahd-e-hāzir ke baad aa.egā
vo zamāna ki jaan leñge aap
yuuñ to ġhussa harām hai lekin
roz jab imtihān leñge aap
aap ko mehrbāñ samajhte haiñ
aur kyā naak kaan leñge aap
saaf kahiye ki chāhte kyā haiñ
kyā ġharīboñ kī jaan leñge aap
ye harīfān-e-kam-nazar ai 'shād'
mujh ko ik roz maan leñge aap
apne ji mein jo Than lenge aap
ya hamara bayan lenge aap
justuju qaede ki ho warna
dar-ba-dar KHak chhan lenge aap
ahd-e-hazir ke baad aaega
wo zamana ki jaan lenge aap
yun to ghussa haram hai lekin
roz jab imtihan lenge aap
aap ko mehrban samajhte hain
aur kya nak kan lenge aap
saf kahiye ki chahte kya hain
kya gharibon ki jaan lenge aap
ye harifan-e-kam-nazar ai 'shad'
mujh ko ek roz man lenge aap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.