apne jine ko kya puchho subh bhi goya raat rahi
apne jine ko kya puchho subh bhi goya raat rahi
Sajjad Baqar Rizvi
MORE BYSajjad Baqar Rizvi
apne jiine ko kyā pūchho sub.h bhī goyā raat rahī
tum bhī rūThe jag bhī rūThā ye bhī vaqt kī baat rahī
pyaar ke khel meñ dil ke mālik ham to sab kuchh kho baiThe
aksar tum se shart lagī hai aksar apnī maat rahī
laakh diye duniyā ne charke laakh lage dil par pahre
husn ne lākhoñ chāleñ badlīñ lekin ishq kī ghaat rahī
tum kyā samjhe tum se chhuT kar haath bhalā ham kyuuñ malte
chashm-o-dil ke shaġhl ko aksar ashkoñ kī barsāt rahī
tum se do do baat kī ḳhātir ham aage baḌh aa.e the
pīchhe pīchhe saath hamāre talḳhī-e-lamhāt rahī
ThanDī ThanDī aah kī ḳhushbū narm o garm ashkoñ ke haar
sach pūchho to apnī saarī ziist kī ye sauġhāt rahī
kaise sub.h ko shaam karūñgā kaise kaTeñge umr ke din
soch rahā huuñ ab jo yahī be-chārgī-e-hālāt rahī
apne jine ko kya puchho subh bhi goya raat rahi
tum bhi ruThe jag bhi ruTha ye bhi waqt ki baat rahi
pyar ke khel mein dil ke malik hum to sab kuchh kho baiThe
aksar tum se shart lagi hai aksar apni mat rahi
lakh diye duniya ne charke lakh lage dil par pahre
husn ne lakhon chaalen badlin lekin ishq ki ghat rahi
tum kya samjhe tum se chhuT kar hath bhala hum kyun malte
chashm-o-dil ke shaghl ko aksar ashkon ki barsat rahi
tum se do do baat ki KHatir hum aage baDh aae the
pichhe pichhe sath hamare talKHi-e-lamhat rahi
ThanDi ThanDi aah ki KHushbu narm o garm ashkon ke haar
sach puchho to apni sari zist ki ye saughat rahi
kaise subh ko sham karunga kaise kaTenge umr ke din
soch raha hun ab jo yahi be-chaargi-e-haalat rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.