apne junun ki taza hikayat hai aaj bhi
apne junūñ kī taaza hikāyat hai aaj bhī
dīvāngī hī sham'-e-hidāyat hai aaj bhī
tark-e-ta'alluqāt ko barsoñ guzar ga.e
lekin kisī kī yaad salāmat hai aaj bhī
un ke hasīn tarz-e-taġhāful kī ḳhair ho
merī vafā se jin ko shikāyat hai aaj bhī
aayā kabhī thā shahr-e-nigārāñ se dil-figār
palkoñ pe sail-e-ashk-e-nadāmat hai aaj bhī
'sūfī' ne kar diyā sar-e-taslīm ḳham magar
is anjuman meñ zikr-e-baġhāvat hai aaj bhī
apne junun ki taza hikayat hai aaj bhi
diwangi hi sham'-e-hidayat hai aaj bhi
tark-e-ta'alluqat ko barson guzar gae
lekin kisi ki yaad salamat hai aaj bhi
un ke hasin tarz-e-taghaful ki KHair ho
meri wafa se jin ko shikayat hai aaj bhi
aaya kabhi tha shahr-e-nigaran se dil-figar
palkon pe sail-e-ashk-e-nadamat hai aaj bhi
'sufi' ne kar diya sar-e-taslim KHam magar
is anjuman mein zikr-e-baghawat hai aaj bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.