apne Khaali-pan ko bharna chhoD diya
apne ḳhālī-pan ko bharnā chhoḌ diyā
tanhā.ī se bilkul Darnā chhoḌ diyā
ab to mujh ko mere haal meñ jiine do
ab to maiñ ne tum pe marnā chhoḌ diyā
tum ko hichkī aane se bhī diqqat thī
maiñ ne tum ko yaad hī karnā chhoḌ diyā
āḳhir tum par hijr asar-andāz huā
tum ne āḳhir-kār sañvarnā chhoḌ diyā
us ne piñjrā khol ke pahlī ġhaltī kī
dūsrī ġhaltī pankh katarnā chhoḌ diyā
apne KHali-pan ko bharna chhoD diya
tanhai se bilkul Darna chhoD diya
ab to mujh ko mere haal mein jine do
ab to main ne tum pe marna chhoD diya
tum ko hichki aane se bhi diqqat thi
main ne tum ko yaad hi karna chhoD diya
aaKHir tum par hijr asar-andaz hua
tum ne aaKHir-kar sanwarna chhoD diya
us ne pinjra khol ke pahli ghalti ki
dusri ghalti pankh katarna chhoD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.