apne KHun ko KHarch kiya hai aur kamaya shahr
apne ḳhuuñ ko ḳharch kiyā hai aur kamāyā shahr
saare manzar TuuT ga.e aur kaam na aayā shahr
be-ghar honā be-ghar rahnā sab achchhā Thahrā
ghar ke andar ghar nahīñ paayā shahr meñ paayā shahr
saat samundar paar bhī āñkheñ mere saath na aa.iiñ
chāroñ jānib ḳhvāb haiñ mere aur parāyā shahr
kaale shahr ko raushan rakkhā shahr ke logoñ ne
dīvānoñ ne diye jalā.e aur bujhāyā shahr
shahr ke ūñche burj bhī mere qad se chhoTe the
chhoTe chhoTe logoñ ne kyā ḳhuub banāyā shahr
apne KHun ko KHarch kiya hai aur kamaya shahr
sare manzar TuT gae aur kaam na aaya shahr
be-ghar hona be-ghar rahna sab achchha Thahra
ghar ke andar ghar nahin paya shahr mein paya shahr
sat samundar par bhi aankhen mere sath na aain
chaaron jaanib KHwab hain mere aur paraya shahr
kale shahr ko raushan rakkha shahr ke logon ne
diwanon ne diye jalae aur bujhaya shahr
shahr ke unche burj bhi mere qad se chhoTe the
chhoTe chhoTe logon ne kya KHub banaya shahr
- Book : Urdu Gazal ka Magribi Daricha (Pg. 203)
- Author : Dr. Jawaz Jafri
- Publication : Kitab Saray, Lahore (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.