apne KHwabon ko ek din sajate hue
apne ḳhvāboñ ko ik din sajāte hue
gir paḌe chāñd tāroñ ko laate hue
ek pul par khaḌā shaam kā āftāb
sab ko taktā hai bas aate jaate hue
ek patthar mire sar pe aa kar lagā
kuchh phaloñ ko shajar se girāte hue
ai ġhazal terī mahfil meñ paa.ī jagah
ik ġhalīcha bichhāte uThāte hue
sub.h ik giit kānoñ meñ kyā paḌ gayā
kaT gayā din vahī gungunāte hue
zaat se apnī 'ātish' thā ġhāfil bahut
jal gayā ḳhud diyā ik jalāte hue
apne KHwabon ko ek din sajate hue
gir paDe chand taron ko late hue
ek pul par khaDa sham ka aaftab
sab ko takta hai bas aate jate hue
ek patthar mere sar pe aa kar laga
kuchh phalon ko shajar se giraate hue
ai ghazal teri mahfil mein pai jagah
ek ghalicha bichhate uThate hue
subh ek git kanon mein kya paD gaya
kaT gaya din wahi gungunate hue
zat se apni 'atish' tha ghafil bahut
jal gaya KHud diya ek jalate hue
- Book : Chand Dinner per Baitha Hai (Pg. 68)
- Author : Swapnil Tiwari
- Publication : Anybook, Gurgaon (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.