apne kirdar se girte hue bande dekhe
apne kirdār se girte hue bande dekhe
maiñ ne insān kī sūrat meñ darinde dekhe
pahle mujrim ko hī miltī thī gunāhoñ kī sazā
ab to ma.asūm key gardan meñ hī phande dekhe
jin ke dam se hai falak-bos makānoñ kā vajūd
in ke haiñ kaun se bāzār meñ dhande dekhe
aaj ujḌe hue logoñ key panah-gāhoñ meñ
maiñ ne mardoñ kī tarah saiñkaḌoñ bande dekhe
sar basar firqa parastoñ ke vatan meñ 'anvar'
rahnumā ham ne sadā apne gazinde dekhe
apne kirdar se girte hue bande dekhe
main ne insan ki surat mein darinde dekhe
pahle mujrim ko hi milti thi gunahon ki saza
ab to masum key gardan mein hi phande dekhe
jin ke dam se hai falak-bos makanon ka wajud
in ke hain kaun se bazar mein dhande dekhe
aaj ujDe hue logon key panah-gahon mein
main ne mardon ki tarah sainkaDon bande dekhe
sar basar firqa paraston ke watan mein 'anwar'
rahnuma hum ne sada apne gazinde dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.