apne kumbe ki ye haalat nahin dekhi jati
apne kumbe kī ye hālat nahīñ dekhī jaatī
ham se har roz key hijrat nahīñ dekhī jaatī
dil ne is taur se furqat ke maze luuTe haiñ
terī āñkhoñ meñ mohabbat nahīñ dekhī jaatī
tū bhī so le ki zarā tujh ko sukūñ ho jaa.e
shab-e-furqat terī vahshat nahīñ dekhī jaatī
pyaas vo sab kī bujhā kar bhī tahī-dast rahā
ham se dariyā key ye ġhurbat nahīñ dekhī jaatī
haath uThāte hī ḳhudā se tujhe māñgā jaa.e
ishq meñ aisī tijārat nahīñ dekhī jaatī
tujh sā banñe kī tamanna meñ ye sargardāñ hai
chāñd terī ye mashaqqat nahīñ dekhī jaatī
apne ajdād kī qabroñ se judā ho ki nadīm
jo kamā.ī hai vo daulat nahīñ dekhī jaatī
apne kumbe ki ye haalat nahin dekhi jati
hum se har roz key hijrat nahin dekhi jati
dil ne is taur se furqat ke maze luTe hain
teri aankhon mein mohabbat nahin dekhi jati
tu bhi so le ki zara tujh ko sukun ho jae
shab-e-furqat teri wahshat nahin dekhi jati
pyas wo sab ki bujha kar bhi tahi-dast raha
hum se dariya key ye ghurbat nahin dekhi jati
hath uThate hi KHuda se tujhe manga jae
ishq mein aisi tijarat nahin dekhi jati
tujh sa banne ki tamanna mein ye sargardan hai
chand teri ye mashaqqat nahin dekhi jati
apne ajdad ki qabron se juda ho ki nadim
jo kamai hai wo daulat nahin dekhi jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.