apne logon se rabta rakkho
apne logoñ se rābta rakkho
pās-e-rasm-o-rah-e-vafā rakkho
TuuT jā.egā dil judā.ī se
aane jaane kā silsila rakkho
raah dariyā meñ gar banānā hai
haath meñ mūsavī asā rakkho
ḳhuld hai in ke paañv ke nīche
maañ ko kis ne kahā ḳhafā rakkho
naav ḳhud hī bhañvar se niklegī
nāḳhudā ho to hausla rakkho
haal chehre kā vo batā degā
sāmne apne aa.ina rakkho
faisla kyā karegā vo jaane
tum magar apnā mudda.ā rakkho
hai isī meñ 'alīm' dānā.ī
apne dushman ko ham-navā rakkho
apne logon se rabta rakkho
pas-e-rasm-o-rah-e-wafa rakkho
TuT jaega dil judai se
aane jaane ka silsila rakkho
rah dariya mein gar banana hai
hath mein musawi asa rakkho
KHuld hai in ke panw ke niche
man ko kis ne kaha KHafa rakkho
naw KHud hi bhanwar se niklegi
naKHuda ho to hausla rakkho
haal chehre ka wo bata dega
samne apne aaina rakkho
faisla kya karega wo jaane
tum magar apna muddaa rakkho
hai isi mein 'alim' danai
apne dushman ko ham-nawa rakkho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.