apne masum gunahon ki saza kya mangen
apne mā'sūm gunāhoñ kī sazā kyā māñgeñ
dosto tum se vafāoñ kā sila kyā māñgeñ
haath duniyā tire aage na kabhī phailegā
dene vaalā hai ḳhudā tujh se bhalā kyā māñgeñ
jaan de kar bhī na mil paa.ī kahīñ bū-e-vafā
hai hameñ ḳhud se gila tujh se vafā kyā māñgeñ
koī sūraj hī nayā nikle to din niklegā
bujh rahe haiñ jo diye un se ziyā kyā māñgeñ
us pe to saare hī darvāze hue band 'bashar'
haath uThā.e to haiñ soche haiñ du'ā kyā māñgeñ
apne ma'sum gunahon ki saza kya mangen
dosto tum se wafaon ka sila kya mangen
hath duniya tere aage na kabhi phailega
dene wala hai KHuda tujh se bhala kya mangen
jaan de kar bhi na mil pai kahin bu-e-wafa
hai hamein KHud se gila tujh se wafa kya mangen
koi suraj hi naya nikle to din niklega
bujh rahe hain jo diye un se ziya kya mangen
us pe to sare hi darwaze hue band 'bashar'
hath uThae to hain soche hain du'a kya mangen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.