apne mahaul se kuchh yun bhi to ghabrae na the
apne māhaul se kuchh yuuñ bhī to ghabrā.e na the
sañg lipTe hue phūloñ meñ nazar aa.e na the
dard zanjīr kī sūrat hai diloñ meñ maujūd
is se pahle to kabhī us ke ye pairā.e na the
chand bikhre hue rezoñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
sochte haiñ ki chaTānoñ se bhī Takrā.e na the
tū ne ḳhud roz-e-azal ham se panāheñ māñgīñ
zindagī ham tujhe dāman meñ chhapā laa.e na the
ham ki har daur kī taz.īñ meñ rahe haiñ shāmil
ab bhī pachhtā.e nahīñ pahle bhī pachhtā.e na the
apne mahaul se kuchh yun bhi to ghabrae na the
sang lipTe hue phulon mein nazar aae na the
dard zanjir ki surat hai dilon mein maujud
is se pahle to kabhi us ke ye pairae na the
chand bikhre hue rezon ke siwa kuchh bhi nahin
sochte hain ki chaTanon se bhi Takrae na the
tu ne KHud roz-e-azal hum se panahen mangin
zindagi hum tujhe daman mein chhapa lae na the
hum ki har daur ki tazin mein rahe hain shamil
ab bhi pachhtae nahin pahle bhi pachhtae na the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.