apne mazi ki tarah ab bhi daraKHshanda hun
apne maazī kī tarah ab bhī daraḳhshanda huuñ
nāzish-e-hāl huuñ sūrat-gar-e-ā.inda huuñ
maar hī Daalā thā afkār-e-jahāñ ne mujh ko
ye mirī zinda-dilī hai ki abhī zinda huuñ
tū pashemāñ hai udhar apnī sitam-koshī par
maiñ idhar shikva-e-bedād pe sharminda huuñ
saare aalam meñ hai mīnāra-e-nūr apnā vajūd
maiñ añdheroñ meñ ujāloñ kā numā.inda huuñ
nazr-e-ālām sahī ḳhāk-bar-andām sahī
maiñ sitāroñ kī tarah phir bhī daraḳhshanda huuñ
māya-e-nāz hai mujh ko ye tavānā.ī-e-fikr
hai yahī baat ki maiñ zinda-o-pā.inda huuñ
yahī nisbat hai bahut mere ta.āruf ke liye
maiñ tirā chāhne vaalā tirā joinda huuñ
apne hī shahr meñ kholī thī 'fazā' ne āñkheñ
faḳhr hai mujh ko usī shahr kā bāshinda huuñ
umr saarī mirī ḳhatrāt meñ guzrī hai 'ġhanī'
aaj bhī maiñ unhīñ hālāt meñ huuñ zinda huuñ
apne mazi ki tarah ab bhi daraKHshanda hun
nazish-e-haal hun surat-gar-e-ainda hun
mar hi Dala tha afkar-e-jahan ne mujh ko
ye meri zinda-dili hai ki abhi zinda hun
tu pasheman hai udhar apni sitam-koshi par
main idhar shikwa-e-bedad pe sharminda hun
sare aalam mein hai minara-e-nur apna wajud
main andheron mein ujalon ka numainda hun
nazr-e-alam sahi KHak-bar-andam sahi
main sitaron ki tarah phir bhi daraKHshanda hun
maya-e-naz hai mujh ko ye tawanai-e-fikr
hai yahi baat ki main zinda-o-painda hun
yahi nisbat hai bahut mere taaruf ke liye
main tera chahne wala tera joinda hun
apne hi shahr mein kholi thi 'faza' ne aankhen
faKHr hai mujh ko usi shahr ka bashinda hun
umr sari meri KHatraat mein guzri hai 'ghani'
aaj bhi main unhin haalat mein hun zinda hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.