apne mahbub ka inam nazar mein rakhna
apne mahbūb kā in'ām nazar meñ rakhnā
vā'da-e-vasl kī vo shaam nazar meñ rakhnā
tū mujhe pyaar se āvāz lagāne ke liye
ḳhūbsūrat sā koī naam nazar meñ rakhnā
roz 'aa.ed nayā qānūn jo kar dete ho
is na.e kaam kā anjām nazar meñ rakhnā
apne vā'de ko are jān-e-jahāñ bhuul ga.e
merā vā'da mirā paiġhām nazar meñ rakhnā
shab-e-vā'da na agar aane kī fursat ho tumheñ
mere sar rakhne ko ilzām nazar meñ rakhnā
bāda-kash terā na rah jaa.e kahīñ tishna-dahan
us ke hisse kā bhī ik jaam nazar meñ rakhnā
chhoḌ kar chal diye is shahr ko 'faisal' phir bhī
ye galī kūcha dar-o-bām nazar meñ rakhnā
apne mahbub ka in'am nazar mein rakhna
wa'da-e-wasl ki wo sham nazar mein rakhna
tu mujhe pyar se aawaz lagane ke liye
KHubsurat sa koi nam nazar mein rakhna
roz 'aed naya qanun jo kar dete ho
is nae kaam ka anjam nazar mein rakhna
apne wa'de ko are jaan-e-jahan bhul gae
mera wa'da mera paigham nazar mein rakhna
shab-e-wa'da na agar aane ki fursat ho tumhein
mere sar rakhne ko ilzam nazar mein rakhna
baada-kash tera na rah jae kahin tishna-dahan
us ke hisse ka bhi ek jam nazar mein rakhna
chhoD kar chal diye is shahr ko 'faisal' phir bhi
ye gali kucha dar-o-baam nazar mein rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.