Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne miT jaane ka idrak liye phirta hun

Yahya Khan Yusuf Zai

apne miT jaane ka idrak liye phirta hun

Yahya Khan Yusuf Zai

MORE BYYahya Khan Yusuf Zai

    apne miT jaane idrāk liye phirtā huuñ

    ḳhatm hotī huī imlāk liye phirtā huuñ

    āsmāñ merā ik imkān liye phirtā hai

    aur meñ mantiq-e-aflāk liye phirtā huuñ

    ḳhaak paaoñ se na lagtī thī kabhī lekin ab

    ḳhaak aur baad poshāk liye phirtā huuñ

    kitnī TuuTī huī bikhrī huī duniyā hai ye

    ḳhaak uḌātā huuñ jigar chaak liye phirtā huuñ

    apne miT jaane ka idrak liye phirta hun

    KHatm hoti hui imlak liye phirta hun

    aasman mera ek imkan liye phirta hai

    aur mein mantiq-e-aflak liye phirta hun

    KHak paon se na lagti thi kabhi lekin ab

    KHak aur baad ki poshak liye phirta hun

    kitni TuTi hui bikhri hui duniya hai ye

    KHak uData hun jigar chaak liye phirta hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now