apne na jal sake to hamare bujha diye
apne na jal sake to hamāre bujhā diye
jitne bhī the charāġh vo saare bujhā diye
is baar de hī detā maiñ dushman ko maat bhī
lekin ye kis ne mere sahāre bujhā diye
in āñsuoñ kī bhiiḌ se TuuTā hai hausla
bārish ne aaj phir se sitāre bujhā diye
vahshat-zada huā thā to āñkhoñ ko chiir kar
aate the jitne ḳhvāb tumhāre bujhā diye
ye baat tai huī thī ki jalte raheñ diye
lekin ye kyā ki dil se utāre bujhā diye
apne na jal sake to hamare bujha diye
jitne bhi the charagh wo sare bujha diye
is bar de hi deta main dushman ko mat bhi
lekin ye kis ne mere sahaare bujha diye
in aansuon ki bhiD se TuTa hai hausla
barish ne aaj phir se sitare bujha diye
wahshat-zada hua tha to aankhon ko chir kar
aate the jitne KHwab tumhaare bujha diye
ye baat tai hui thi ki jalte rahen diye
lekin ye kya ki dil se utare bujha diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.