apne pahlu mein chhupae hue patthar nikla
apne pahlū meñ chhupā.e hue patthar niklā
ye tirā shahr bhī tujh sā hī sitamgar niklā
thī jo mahfūz mire saath mirī ḳhāk-e-badan
le uḌī tez havā ghar se jo bāhar niklā
sab kī goyā.ī pe haavī thī mirī ḳhāmoshī
kaun mujh sā tirī mahfil meñ suḳhanvar niklā
shahr meñ phailā huā ḳhauf-e-shanāsā.ī thā
ghar se har shaḳhs nayā ruup badal kar niklā
kis taraf jāoge ab pyaas bujhāne logo
dasht-e-be-āb se aage to samundar niklā
ban ga.ī paañv kī zanjīr dar-o-bām kī yaad
ḳhud mirī raah kī dīvār mirā ghar niklā
kī mohabbat bhī to ik dushman-e-jāñ se 'ḳhāvar'
apnā dushman na koī tere barābar niklā
apne pahlu mein chhupae hue patthar nikla
ye tera shahr bhi tujh sa hi sitamgar nikla
thi jo mahfuz mere sath meri KHak-e-badan
le uDi tez hawa ghar se jo bahar nikla
sab ki goyai pe hawi thi meri KHamoshi
kaun mujh sa teri mahfil mein suKHanwar nikla
shahr mein phaila hua KHauf-e-shanasai tha
ghar se har shaKHs naya rup badal kar nikla
kis taraf jaoge ab pyas bujhane logo
dasht-e-be-ab se aage to samundar nikla
ban gai panw ki zanjir dar-o-baam ki yaad
KHud meri rah ki diwar mera ghar nikla
ki mohabbat bhi to ek dushman-e-jaan se 'KHawar'
apna dushman na koi tere barabar nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.