apne pairon pe kisi taur khaDe hote nahin
apne pairoñ pe kisī taur khaḌe hote nahīñ
būḌhe ho jaate haiñ ham log baḌe hote nahīñ
sabr-o-ḳhāmoshī kī zanjīr jakaḌ letī hai
ab kalā.ī meñ baġhāvat ke kaḌe hote nahīñ
halqa-e-ishq meñ sab chāk-dilāñ milte haiñ
is qabīle meñ koī ḳhaas dhaḌe hote nahīñ
aise us shaḳhs ke lahje se pighal jaate haiñ
jaise ham log kabhī zid pe aḌe hote nahīñ
Thokaroñ baa'd kahīñ nazroñ meñ aate haiñ 'aqīl'
ham añgūThī meñ nagīne to jaḌe hote nahīñ
apne pairon pe kisi taur khaDe hote nahin
buDhe ho jate hain hum log baDe hote nahin
sabr-o-KHamoshi ki zanjir jakaD leti hai
ab kalai mein baghawat ke kaDe hote nahin
halqa-e-ishq mein sab chaak-dilan milte hain
is qabile mein koi KHas dhaDe hote nahin
aise us shaKHs ke lahje se pighal jate hain
jaise hum log kabhi zid pe aDe hote nahin
Thokaron ba'd kahin nazron mein aate hain 'aqil'
hum anguThi mein nagine to jaDe hote nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.