apne parae sab se nibhata hai kis tarah
apne parā.e sab se nibhātā hai kis tarah
logoñ ke saath pesh tū aatā hai kis tarah
gahrī kisī bhī niiñd se achchhā hai jāgnā
soyā huā zamīr jagātā hai kis tarah
ham vaqt ko parakhne se pahle ye dekh leñ
ye vaqt ham ko paaTh paḌhātā hai kis tarah
be-shak tū kar savāl tirī zindagī hai par
tū zindagī kā saath nibhātā hai kis tarah
us ko gale lagāne se pahle ye dekhnā
vo shaḳhs tum se haath milātā hai kis tarah
apne parae sab se nibhata hai kis tarah
logon ke sath pesh tu aata hai kis tarah
gahri kisi bhi nind se achchha hai jagna
soya hua zamir jagata hai kis tarah
hum waqt ko parakhne se pahle ye dekh len
ye waqt hum ko paTh paDhata hai kis tarah
be-shak tu kar sawal teri zindagi hai par
tu zindagi ka sath nibhata hai kis tarah
us ko gale lagane se pahle ye dekhna
wo shaKHs tum se hath milata hai kis tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.