apne qadmon hi ki aawaz se chaunka hota
apne qadmoñ hī kī āvāz se chauñkā hotā
yuuñ mire paas se ho kar koī guzrā hotā
chāñdnī se bhī sulag uThtā hai vīrāna-e-jāñ
ye agar jānte sūraj hī ko chāhā hotā
zindagī ḳhvāb-e-pareshāñ hai bahār ek ḳhayāl
in ko milne se bahut pahle ye sochā hotā
dopahar guzrī magar dhuup kā aalam hai vahī
koī saaya kisī dīvār se utrā hotā
ret uḌ uḌ ke havāoñ meñ chalī aatī hai
shahr-e-armāñ sar-e-sahrā na basāyā hotā
aarzū umr-e-gurezāñ to nahīñ tum to nahīñ
ye saraktā huā lamha kahīñ Thahrā hotā
pīchhe pīchhe koī saaya sā chalā aatā thā
haa.e vo kaun thā muḌ kar use dekhā hotā
tujh se yak go na ta.alluq mujhe ik umr se thā
zindagī tū ne hī baḌh kar mujhe rokā hotā
jaane kyā soch ke logoñ ne bujhā.e haiñ charāġh
raat kaTtī to sahar hotī ujālā hotā
apne dāman ko jalā kar maiñ charāġhāñ kartā
agar is raakh meñ 'aḳhtar' koī sho.ala hotā
apne qadmon hi ki aawaz se chaunka hota
yun mere pas se ho kar koi guzra hota
chandni se bhi sulag uThta hai virana-e-jaan
ye agar jaante suraj hi ko chaha hota
zindagi KHwab-e-pareshan hai bahaar ek KHayal
in ko milne se bahut pahle ye socha hota
dopahar guzri magar dhup ka aalam hai wahi
koi saya kisi diwar se utra hota
ret uD uD ke hawaon mein chali aati hai
shahr-e-arman sar-e-sahra na basaya hota
aarzu umr-e-gurezan to nahin tum to nahin
ye sarakta hua lamha kahin Thahra hota
pichhe pichhe koi saya sa chala aata tha
hae wo kaun tha muD kar use dekha hota
tujh se yak go na talluq mujhe ek umr se tha
zindagi tu ne hi baDh kar mujhe roka hota
jaane kya soch ke logon ne bujhae hain charagh
raat kaTti to sahar hoti ujala hota
apne daman ko jala kar main charaghan karta
agar is rakh mein 'aKHtar' koi shoala hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.