apne rang mein rang dunga main ain tumhein
apne rañg meñ rañg dūñgā maiñ ain tumheñ
had se baḌh ke kar dūñgā bechain tumheñ
ahl-e-qarya mujh se haiñ bezār bahut
detā nahīñ kyā merā sunā.ī bain tumheñ
dil meñ ruuh meñ har ik jā meñ rakkhā hai
māthe par aur āñkhoñ ke mābain tumheñ
jaan se baḌh kar logo un se pyaar karo
sher-e-ḳhudā ne jab haiñ diye sibtain tumheñ
aa kar 'shoḳh' ke siine se tum lag jaao
taras rahā huuñ dekhne ko maiñ zain tumheñ
apne rang mein rang dunga main ain tumhein
had se baDh ke kar dunga bechain tumhein
ahl-e-qarya mujh se hain bezar bahut
deta nahin kya mera sunai bain tumhein
dil mein ruh mein har ek ja mein rakkha hai
mathe par aur aankhon ke mabain tumhein
jaan se baDh kar logo un se pyar karo
sher-e-KHuda ne jab hain diye sibtain tumhein
aa kar 'shoKH' ke sine se tum lag jao
taras raha hun dekhne ko main zain tumhein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.