apne ranj-o-gham banTe humse ba-KHabar nikle
apne ranj-o-ġham bāñTe ham se bā-ḳhabar nikle
saath chalne vāloñ meñ koī ham-safar nikle
be-sa.ādatī Thahre ḳhvāh ab hunar nikle
sab ne jis se rokā thā ham vo kaam kar nikle
ik ajiib sannāTā mahv-e-sher-ḳhvānī thā
ham jahāñ-jahāñ pahoñche ham jidhar jidhar nikle
jaane kis ke haath aa.eñ aur kyā fazā paa.eñ
phir alāmateñ ban kar mere bāl-o-par nikle
gahre pāniyoñ se kyā aur dosto miltā
merī ḳhālī āñkhoñ meñ saiñkaḌoñ bhañvar nikle
manziloñ ke pīchhe bhī aur manzileñ hoñgī
rahguzar se aage bhī koī rahguzar nikle
kā.enāt kī hastī ik fazā-e-sarmastī
jaise chāñdnī shab meñ zehn gasht par nikle
ham ne un ko dekhā hai ham ne un ko parkhā hai
jitne dīda-var nikle ḳhāse kam-nazar nikle
sirf maiñ na thā tanhā zad meñ dhuup kī aisā
merī tarah ke har-sū anginat shajar nikle
kyā bhare zamāne meñ bas yahī nahīñ mumkin
maiñ kahīñ Thahar jā.ūñ koī merā ghar nikle
dūsroñ ne kyā 'hairat' ġham ko ġham nahīñ samjhā
ham magar ġhalat nikle aur kis qadar nikle
apne ranj-o-gham banTe hum se ba-KHabar nikle
sath chalne walon mein koi ham-safar nikle
be-saadati Thahre KHwah ab hunar nikle
sab ne jis se roka tha hum wo kaam kar nikle
ek ajib sannaTa mahw-e-sher-KHwani tha
hum jahan-jahan pahonche hum jidhar jidhar nikle
jaane kis ke hath aaen aur kya faza paen
phir alamaten ban kar mere baal-o-par nikle
gahre paniyon se kya aur dosto milta
meri KHali aankhon mein sainkaDon bhanwar nikle
manzilon ke pichhe bhi aur manzilen hongi
rahguzar se aage bhi koi rahguzar nikle
kaenat ki hasti ek faza-e-sarmasti
jaise chandni shab mein zehn gasht par nikle
hum ne un ko dekha hai hum ne un ko parkha hai
jitne dida-war nikle KHase kam-nazar nikle
sirf main na tha tanha zad mein dhup ki aisa
meri tarah ke har-su anginat shajar nikle
kya bhare zamane mein bas yahi nahin mumkin
main kahin Thahar jaun koi mera ghar nikle
dusron ne kya 'hairat' gham ko gham nahin samjha
hum magar ghalat nikle aur kis qadar nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.