apne raushan mustaqbil ki baaten karte hain
apne raushan mustaqbil kī bāteñ karte haiñ
shā.ir bhī dīvānoñ jaisī bāteñ karte haiñ
duniyā-dārī saaf jhalaktī hai kirdāroñ se
ham masjid kī had tak diinī bāteñ karte haiñ
kaash amal bhī apne ho jaa.eñ bilkul vaise
taqrīroñ meñ jitnī achchhī bāteñ karte haiñ
kyā tahzīb tanazzul kī manzil tak aa pahuñchī
shorafā bāzāroñ meñ ghar kī bāteñ karte haiñ
ḳhvāb se lagte haiñ ab saare rishte maazī ke
mil hī jaate haiñ to rasmī bāteñ karte haiñ
achchhā sā mansab hāsil kar lene kī dhun meñ
log na jaane kaisī kaisī bāteñ karte haiñ
sachchā.ī ko sun kar hākim mujh se kahtā hai
aise lahje meñ to bāġhī bāteñ karte haiñ
baat karūñ yā sher sunā.ūñ duniyā kahtī hai
'vāsif' sāhab har dam kaḌvī bāteñ karte haiñ
apne raushan mustaqbil ki baaten karte hain
shair bhi diwanon jaisi baaten karte hain
duniya-dari saf jhalakti hai kirdaron se
hum masjid ki had tak dini baaten karte hain
kash amal bhi apne ho jaen bilkul waise
taqriron mein jitni achchhi baaten karte hain
kya tahzib tanazzul ki manzil tak aa pahunchi
shorafa bazaron mein ghar ki baaten karte hain
KHwab se lagte hain ab sare rishte mazi ke
mil hi jate hain to rasmi baaten karte hain
achchha sa mansab hasil kar lene ki dhun mein
log na jaane kaisi kaisi baaten karte hain
sachchai ko sun kar hakim mujh se kahta hai
aise lahje mein to baghi baaten karte hain
baat karun ya sher sunaun duniya kahti hai
'wasif' sahab har dam kaDwi baaten karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.