apne sae ko itna samjhane de
apne saa.e ko itnā samjhāne de
mujh tak mere hisse kī dhuup aane de
ek nazar meñ ka.ī zamāne dekhe to
būḌhī āñkhoñ kī tasvīr banāne de
baabā duniyā jiit ke maiñ dikhlā dūñgā
apnī nazar se duur to mujh ko jaane de
maiñ bhī to is baaġh kā ek parinda huuñ
merī hī āvāz meñ mujh ko gaane de
phir to ye ūñchā hī hotā jā.egā
bachpan ke hāthoñ meñ chāñd aa jaane de
fasleñ pak jaa.eñ to khet se bichhḌeñgī
rotī aañkh ko pyaar kahāñ samjhāne de
apne sae ko itna samjhane de
mujh tak mere hisse ki dhup aane de
ek nazar mein kai zamane dekhe to
buDhi aankhon ki taswir banane de
baba duniya jit ke main dikhla dunga
apni nazar se dur to mujh ko jaane de
main bhi to is bagh ka ek parinda hun
meri hi aawaz mein mujh ko gane de
phir to ye uncha hi hota jaega
bachpan ke hathon mein chand aa jaane de
faslen pak jaen to khet se bichhDengi
roti aankh ko pyar kahan samjhane de
- Book : Mera Kiya (Pg. 43)
- Author : Waseem Barelvi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.