apne sae se bhi Darti hai tujhe kya malum
apne saa.e se bhī Dartī hai tujhe kyā mālūm
zindagī aks badaltī hai tujhe kyā mālūm
din to sūraj hai kisī tarah se Dhal jaatā hai
raat āñkhoñ meñ Thahartī hai tujhe kyā mālūm
mere chehre pe likhe harf tū paḌh letā hai
jo mere dil pe guzartī hai tujhe kyā mālūm
ye tire naam se mansūb bhī ho saktī hai
saañs rah rah ke aTaktī hai tujhe kyā mālūm
terī dhun hai mirī pāzeb kī jhankāroñ meñ
ab to chūḌī bhī khanaktī hai tujhe kyā mālūm
tū ne jaate hue jis shaam ko chhoḌā thā yahāñ
vo sar-e-shām sañvartī hai tujhe kyā mālūm
jaane kis samt se aa jaa.e tirī yaad 'qamar'
zindagī rāsta taktī hai tujhe kyā mālūm
apne sae se bhi Darti hai tujhe kya malum
zindagi aks badalti hai tujhe kya malum
din to suraj hai kisi tarah se Dhal jata hai
raat aankhon mein Thaharti hai tujhe kya malum
mere chehre pe likhe harf tu paDh leta hai
jo mere dil pe guzarti hai tujhe kya malum
ye tere nam se mansub bhi ho sakti hai
sans rah rah ke aTakti hai tujhe kya malum
teri dhun hai meri pazeb ki jhankaron mein
ab to chuDi bhi khanakti hai tujhe kya malum
tu ne jate hue jis sham ko chhoDa tha yahan
wo sar-e-sham sanwarti hai tujhe kya malum
jaane kis samt se aa jae teri yaad 'qamar'
zindagi rasta takti hai tujhe kya malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.