apne saye se bhagna hoga
apne saaye se bhāgnā hogā
kyā ḳhabar thī ye hādisa hogā
ḳhāmushī ko zabāñ na de ai dost
ghar meñ har vaqt shor sā hogā
merī pahchān ke liye tum ko
apnā maazī kurednā hogā
fasl vahmoñ kī pak chukī hogī
ab vo sho'le baTortā hogā
ḳhud-kushī us kī bebasī hogī
vo bhī kab marnā chāhtā hogā
yuuñ to tum bhī zabān rakhte the
kuchh bhī kahte na ban paḌā hogā
vo jo ḳhush thā 'naresh' mele meñ
ghar pahuñchte hī ro diyā hogā
apne saye se bhagna hoga
kya KHabar thi ye hadisa hoga
KHamushi ko zaban na de ai dost
ghar mein har waqt shor sa hoga
meri pahchan ke liye tum ko
apna mazi kuredna hoga
fasl wahmon ki pak chuki hogi
ab wo sho'le baTorta hoga
KHud-kushi us ki bebasi hogi
wo bhi kab marna chahta hoga
yun to tum bhi zaban rakhte the
kuchh bhi kahte na ban paDa hoga
wo jo KHush tha 'naresh' mele mein
ghar pahunchte hi ro diya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.