apne sab chehre chhupa rakkhe hain aaine mein
apne sab chehre chhupā rakkhe haiñ ā.īne meñ
maiñ ne kuchh phuul khilā rakkhe haiñ ā.īne meñ
tum bhī duniyā ko sunāte ho kahānī jhūTī
maiñ ne bhī parde girā rakkhe haiñ ā.īne meñ
phir nikal aa.egī sūraj kī sunahrī zanjīr
aise mausam bhī uThā rakkhe haiñ ā.īne meñ
maiñ ne kuchh logoñ kī tasvīr utārī hai 'jamīl'
aur kuchh log chhupā rakkhe haiñ ā.īne meñ
apne sab chehre chhupa rakkhe hain aaine mein
main ne kuchh phul khila rakkhe hain aaine mein
tum bhi duniya ko sunate ho kahani jhuTi
main ne bhi parde gira rakkhe hain aaine mein
phir nikal aaegi suraj ki sunahri zanjir
aise mausam bhi uTha rakkhe hain aaine mein
main ne kuchh logon ki taswir utari hai 'jamil'
aur kuchh log chhupa rakkhe hain aaine mein
- Book : chhaar khvaab (Pg. 71)
- Author : qamar jameel
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.