apne sab daftar ke sathi yar hamara koi nahin
apne sab daftar ke sāthī yaar hamārā koī nahīñ
kursī mez kā un se rishta dil kā rishta koī nahīñ
dar pe mire vo jab tak pahuñchā khul ga.e raah ke darvāze
maiñ ne sochā thā ki yahāñ par us kā shanāsā koī nahīñ
vo bhī achchhe aap bhī achchhe kaun burā hai lekin haañ
jo ham ko achchhā kahtā hai us se achchhā koī nahīñ
aao zarā chal kar to dekheñ kaun haiñ ye kaise haiñ log
ik muddat se is bastī meñ aatā jaatā koī nahīñ
raat havā kuchh tez thī shāyad bol rahe the darvāze
pūchhte kyoñ ho kaun aayā thā kaun aayā thā koī nahīñ
ghar ko to hamsā.e ne chhīnā saa.e ban ke rahe 'kāzim'
ḳhat kā javāb na tum ab denā apnā Thikānā koī nahīñ
apne sab daftar ke sathi yar hamara koi nahin
kursi mez ka un se rishta dil ka rishta koi nahin
dar pe mere wo jab tak pahuncha khul gae rah ke darwaze
main ne socha tha ki yahan par us ka shanasa koi nahin
wo bhi achchhe aap bhi achchhe kaun bura hai lekin han
jo hum ko achchha kahta hai us se achchha koi nahin
aao zara chal kar to dekhen kaun hain ye kaise hain log
ek muddat se is basti mein aata jata koi nahin
raat hawa kuchh tez thi shayad bol rahe the darwaze
puchhte kyon ho kaun aaya tha kaun aaya tha koi nahin
ghar ko to hamsae ne chhina sae ban ke rahe 'kazim'
KHat ka jawab na tum ab dena apna Thikana koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.