apne sab zaKHmon pe hum soe the aansu bandh kar
apne sab zaḳhmoñ pe ham so.e the aañsū bāñdh kar
aa ga.iiñ purvā.iyāñ pairoñ meñ ghuñgrū bāñdh kar
ek ik kar ke tirī yādoñ kī saarī titliyāñ
ho ga.iiñ ruḳhsat mirī palkoñ meñ jugnū bāñdh kar
manzilat se merī nā-vāqif na the majbūr the
ro paḌe dushman mire rassī meñ baazū bāñdh kar
ḳhush-nasab logoñ ke beToñ ko nahīñ is kī ḳhabar
sher maare jā.eñge jangal meñ aahū bāñdh kar
maal aur daulat kī ai 'kaifī' tamanna kis liye
saath le jā.egā duniyā se tū kyā kyā bāñdh kar
apne sab zaKHmon pe hum soe the aansu bandh kar
aa gain purwaiyan pairon mein ghungru bandh kar
ek ek kar ke teri yaadon ki sari titliyan
ho gain ruKHsat meri palkon mein jugnu bandh kar
manzilat se meri na-waqif na the majbur the
ro paDe dushman mere rassi mein bazu bandh kar
KHush-nasab logon ke beTon ko nahin is ki KHabar
sher mare jaenge jangal mein aahu bandh kar
mal aur daulat ki ai 'kaifi' tamanna kis liye
sath le jaega duniya se tu kya kya bandh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.