apne sapnon ko jala kar har taraf ki raushni
apne sapnoñ ko jalā kar har taraf kī raushnī
is tarah se duur kī rāhoñ kī terī tīrgī
jo nadī maḳhmūr thī sāgar kī bas ik chaah meñ
vo bujhātī aaj hai aañsū ko pī kar tishnagī
maut aane par badaltī ruuh apnā pairahan
kyā pata thā ruuh mujh ko chhoḌ degī jiite jī
apne sapnon ko jala kar har taraf ki raushni
is tarah se dur ki rahon ki teri tirgi
jo nadi maKHmur thi sagar ki bas ek chah mein
wo bujhati aaj hai aansu ko pi kar tishnagi
maut aane par badalti ruh apna pairahan
kya pata tha ruh mujh ko chhoD degi jite ji
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.