apne sar ilzam sare dhar chale
apne sar ilzām saare dhar chale
''ham to is jiine ke hāthoñ mar chale''
mere jīvan kā tamāsha dekh kar
log saare apne apne ghar chale
sar ke bal chalte haiñ jis rah par sabhī
ham hathelī par ye sar rakh kar chale
ab ki shāyad tum ko ḳhushiyāñ hoñ nasīb
rañg ham tasvīr meñ sab bhar chale
apnī nasloñ ko bachāne ke liye
ek maada le ke saare nar chale
apne tan par oḌh ke mailā kafan
ham tumhāre naam sab kuchh kar chale
ab to apnā peT puurā bhar gayā
ghaas apne hisse kī ham char chale
hijr ke maare the ḳhālī haath sab
so vo le kar apne apne Dar chale
sab ḳhazāna mulk kā ḳhālī huā
apnī apnī jebeñ saare bhar chale
pyaar ulfat aur mohabbat chhoḌ kar
har jagah har moḌ pe ab zar chale
jab maiñ thak ke maqbare meñ so ga.ī
phir vahāñ nekī chale naañ shar chale
jis jagah chaltī thī ThanDī sī havā
ab vahāñ har moḌ pe sarsar chale
sab se ūñchī thī yahāñ terī anā
aur ham ye choTī bhī sar kar chale
ruuh pyāsī rah na jaa.e dosto
aañkh ke sab ashk ham pī kar chale
apne sar ilzam sare dhar chale
ham to is jine ke hathon mar chale
mere jiwan ka tamasha dekh kar
log sare apne apne ghar chale
sar ke bal chalte hain jis rah par sabhi
hum hatheli par ye sar rakh kar chale
ab ki shayad tum ko KHushiyan hon nasib
rang hum taswir mein sab bhar chale
apni naslon ko bachane ke liye
ek mada le ke sare nar chale
apne tan par oDh ke maila kafan
hum tumhaare nam sab kuchh kar chale
ab to apna peT pura bhar gaya
ghas apne hisse ki hum char chale
hijr ke mare the KHali hath sab
so wo le kar apne apne Dar chale
sab KHazana mulk ka KHali hua
apni apni jeben sare bhar chale
pyar ulfat aur mohabbat chhoD kar
har jagah har moD pe ab zar chale
jab main thak ke maqbare mein so gai
phir wahan neki chale nan shar chale
jis jagah chalti thi ThanDi si hawa
ab wahan har moD pe sarsar chale
sab se unchi thi yahan teri ana
aur hum ye choTi bhi sar kar chale
ruh pyasi rah na jae dosto
aankh ke sab ashk hum pi kar chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.