apne shab-yaron se kis tarah main ghafil ho jaun
apne shab-yaron se kis tarah main ghafil ho jaun
Ehtisham ul Haq Siddiqui
MORE BYEhtisham ul Haq Siddiqui
apne shab-yāroñ se kis tarah maiñ ġhāfil ho jā.ūñ
āsmāñ jaag rahā hai to maiñ kaise so jā.ūñ
dil-ba-dar maiñ bhī huuñ aur tū bhī hai ma.azūl-nazar
tū ijāzat de agar mujh ko maiñ terā ho jā.ūñ
vaqt ne itne badalvā.e haiñ chehre mujh se
ḳhauf hai bhiiḌ meñ in kī na kisī din kho jā.ūñ
jahl kī bāñjh zamīnoñ meñ na ug pā.ūñgā
ilm-parvar ho zamīñ koī to ḳhud ko bo jā.ūñ
abr-e-ġham dil kā baras jaa.e to is paanī se
daaġh dhabbe haiñ jo āñkhoñ meñ unheñ bhī dho jā.ūñ
apne shab-yaron se kis tarah main ghafil ho jaun
aasman jag raha hai to main kaise so jaun
dil-ba-dar main bhi hun aur tu bhi hai mazul-nazar
tu ijazat de agar mujh ko main tera ho jaun
waqt ne itne badalwae hain chehre mujh se
KHauf hai bhiD mein in ki na kisi din kho jaun
jahl ki banjh zaminon mein na ug paunga
ilm-parwar ho zamin koi to KHud ko bo jaun
abr-e-gham dil ka baras jae to is pani se
dagh dhabbe hain jo aankhon mein unhen bhi dho jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.